kabhi su-e-dasht nikal pade kabhi su-e-dar chale gae teri chah mein na kahan kahan tere be-qarar chale gae jo kitab-e-dil mein thi pankhudi kisi sar-kashida gulab ki wo dabi rahi to waraq waraq hue lala-zar chale gae unhen kaam tha tere kaam se tere zikr se tere nam se wo jo aabla-pa barahna-pa sar-e-dasht-e-khar chale gae na wo dhadkanen na wo uljhanen na wo waswase na wo qahqahe tere ahd mein dil-e-zar ke sabhi ikhtiyar chale gae mere pairahan ki gawahiyan na suni gain na likhi gain ki zanan-e-misr ki baat par hi azizdar chale gae na wo rasm-e-jama-dari rahi na mizaj-e-bakhiya-gari raha wo junun-shiar kahan rahe wo karam-nisar chale gae jo na dair mein na haram mein the jo asir halqa-e-gham mein the wo nawa-e-dard pe naghma-khwan tere shab-guzar chale gae main sukut-e-daman-e-dasht se jahan guftugu mein magan raha wahan jhil thak ke ruki rahi magar aabshaar chale gae tera dard 'bazmi'-e-na-tawan na idhar suna na udhar suna ki dayar-e-nikhat-o-nur se tere gham-gusar chale gae