lafz ka dariya utra dasht-e-maani phaila misra-e-ula hi mein misra-e-sani phaila kahin chhupa hota hai dawam kisi lamhe mein yun to hai sadiyon pe jahan-e-fani phaila danai ki duniya tang hai pechida hai ya-rab kuchh aasani kar nadani phaila daman-e-tar hi mein to hai ashkon ki nami bhi rahne de dharti par yunhi pani phaila manfaten hi darj hain sab ki fard-e-amal mein waraq kushada kar thodi nuqsani phaila kirdaron ki pahchanen gum hone lagi hain mere lekhak itna bhi na kahani phaila