jo thake thake se the hausle wo shabab ban ke machal gae wo nazar nazar se gale mile to bujhe charagh bhi jal gae ye shikast-e-did ki karwaten bhi badi latif o jamil thin main nazar jhuka ke tadap gaya wo nazar bacha ke nikal gae na khizan mein hai koi tirgi na bahaar mein koi raushni ye nazar nazar ke charagh hain kahin bujh gae kahin jal gae jo sambhal sambhal ke bahak gae wo fareb-khurda-e-rah the wo maqam-e-ishq ko pa gae jo bahak bahak ke sambhal gae jo khile hue hain rawish rawish wo hazar husn-e-chaman sahi magar un gulon ka jawab kya jo qadam qadam pe kuchal gae na hai 'shair' ab gham-e-nau-ba-nau na wo dagh-e-dil na wo aarzu jinhen e'timad-e-bahaar hai wahi phul rang badal gae