karen na yaad shab-e-hadisa hua so hua bhula den aao har ek waqia hua so hua bura hua ki lade jaan-nisar aapas mein bura hai aur bhi ye tazkira hua so hua ghazab hua ki nae log aa base dil mein bichhadna un se alag saneha hua so hua kahan kahan se na aafat ki aandhiyan aain dayar-e-qalb mein jo zalzale hua so hua bahut se kante gire phul ban ke daman mein gulon ki zat se jo faeda hua so hua pahan ke dost bhi nikle libas-e-tanz 'hasan' wo apni aan mein be-qaida hua so hua