jo gul hai yan so us gul-e-rukhsar sath hai kya gul hai wo ki jis ke ye gulzar sath hai to mast shab andheri aur aghyar sath hai jo dil mein aawe kah ye gunahgar sath hai khamosh andalib-e-chaman tujh se kiya hai bahs apna sukhan to murgh-e-giraftar sath hai paigham us nigah ka ki jis mein hai bu-e-mehr kya jaane kis ke aakhiri didar sath hai uqda na ye khula ki mere dil sa pahlawan tujh zulf ke bandha hua ek tar sath hai karte to ho mere maraz-e-dil ka tum ilaj yaro jo dil yahi hai to aazar sath hai 'sauda' ke hath kyun-ke lage wo mata-e-husn le niklen jis ko ghar se to bazar sath hai