shama par shama jalati hui sath aati hai raat aati hai ki yaadon ki baraat aati hai ek zara kucha-e-jaanan mein thahar ja ai maut khair-maqdam ke liye meri hayat aati hai pher lete hain nigahen tere pyase hans kar jam par jam liye mauj-e-furaat aati hai qissa-e-dair-o-haram aur se puchho logo hum to shair hain hamein pyar ki baat aati hai hoshiyar ai dil-e-betab ki maqtal hai qarib aakhiri manzil-e-taslim-o-sibaat aati hai jagmagate hue mahlon ki taraf to dekho un ki duniya mein din aata hai ki raat aati hai jis se ban jati hai bigdi hui qismat ai dost aisi tadbir bhi taqdir se hath aati hai tishna-kaaman-e-mohabbat se kaho sabr karen maut hathon mein liye aab-e-hayat aati hai muskurahat nahin aati lab-e-saqi pe 'shamim' gham-e-dauran ke liye subh-e-najat aati hai