jo guzre hai bar aashiq-e-kaamil nahin malum jibril hai har aan mein nazil nahin malum kya parda-e-ghaflat hai kuchh ai dil nahin malum rahta hai shab-o-roz wo nazil nahin malum har dam yahi rahta hai yahan dil mein pas-o-pesh jine ka ba-juz-marg kuchh hasil nahin malum rukh dekh ke hairan hun tera jun gul-e-khurshid chhut tere mujhe koi muqabil nahin malum bakhshish ye jo rakhta hai ba-kaf bahr hai kashti kya jaaniye ye kis se hai sail nahin malum be-thah ho kya bahr-e-haqiqat ka shanawar jis ka kahin aakhir lab-e-sahil nahin malum kyun rahte hain nit rewdi ke phere mein aashiq us ke lab-e-shirin pe kahin til nahin malum jarrah ye kahta hai mujhe dekh ke be-dam kis tegh-e-nigah ka hai ye ghael nahin malum jun aaina hairat-zada yan dekhun hun sab ko kya jaaniye kis par hun main mail nahin malum chal chal ke rah-e-ishq mein jun naqsh-e-qadam hum thak baithe 'nasir' ab hamein manzil nahin malum