phul bhare hain daman daman lekin viran viran gulshan ishq ki masti dil ki dhadkan ek jawani do do joban dekhe hain sab shaikh-o-barahman nam bade aur chhote darshan kaun kisi ke dukh ka sathi apne aansu apna daman zabt ne jab bhi hont siye hain tez hui hai dil ki dhadkan gora mukhda kali zulfen subh ke dar par sham ki chilman gulshan ke matwale hain hum phul bhi gulshan khar bhi gulshan aql ki baaten karne wale kya samjhenge dil ki dhadkan husn aur ishq mein farq yahi hai ek hai shisha ek hai aahan tan ke ujle man ke maile ye hain waiz ji ke lachchhan aql ne aksar dil ko kosa nach na jaane tedha aangan tan-man tum par war diye hain us ka sab kuchh jis ka tan-man tera daman chhodun kaise meri duniya tera daman ruth ke jaane wale aakhir apnon se kyun itni an-ban teri yaad ka nur tha warna hijr ki zulmat aur ho raushan aaj 'sahar' aana hai kis ko raushan hai kyun mera aangan