jo guzri mujh pe mat us se kaho hua so hua bala-kashan-e-mohabbat pe jo hua so hua mabaada ho koi zalim tera gareban-gir mere lahu ko tu daman se dho hua so hua pahunch chuka hai sar-e-zakhm dil talak yaro koi subu koi marham rakho hua so hua kahe hai sun ke meri sarguzisht wo be-rahm ye kaun zikr hai jaane bhi do hua so hua khuda ke waste aa darguzar gunah se mere na hoga phir kabhu ai tund-khu hua so hua ye kaun haal hai ahwal-e-dil pe ai aankho na phut phut ke itna baho hua so hua na kuchh zarar hua shamshir ka na hathon ka mere hi sar pe ai jallad jo hua so hua diya use dil o din ab ye jaan hai 'sauda' phir aage dekhiye jo ho so ho hua so hua