pahchan ka asasa wo jab haar aaega chehre nae kharidne bazar aaega rangon ke qafile nahin ab mere ham-safar hamrah ek barg-e-azza-dar aaega namus-e-subh-e-karbala apni rida sambhaal chal kar abhi to sham ka darbar aaega diwar o dar mein der se sargoshiyan si hain fateh qabilon ka koi sardar aaega maftuh bastiyon pe hai yalghaar ki ghadi galiyon mein ek lashkar-e-jarrar aaega main sang-e-rah nahin jo utha kar tu phenk de main aisa marhala hun jo sau bar aaega bachche jawan ho gae na-taqati ke sath kab bazuon mein zor-e-alamdar aaega