sharab o sher ke sanche mein dhal ke aai hai ye sham kis ki gali se nikal ke aai hai samajh raha hun sahar ke fareb-e-rangin ko naya libas shab-e-gham badal ke aai hai tere qadam ki bahak hai teri qaba ki mahak nasim tere shabistan se chal ke aai hai wafa pe aanch na aati agar tumhi kahte zaban tak aaj jo ek baat chal ke aai hai saji hui hai sitaron se mai-kade ki faza ki raat tere tasawwur mein dhal ke aai hai ba-ehtiyat hamari taraf uthi hai nigah labon pe mauj-e-tabassum sambhal ke aai hai hamari aah hamare hi dil ki aah nahin na jaane kitne dilon se nikal ke aai hai sahar tak aa to gai shama ta-ba parwana magar hararat-e-gham se pighal ke aai hai meri nigah-e-tamanna ka aks ho na 'shamim' kisi ke rukh pe jo surkhi machal ke aai hai