jo haalat ab hai is dil ki ye haalat phir kahan hogi ghazal kah len idhar mail tabiat phir kahan hogi mila hai ab jo gham mujh ko rahega umr bhar dil mein jo shiddat aaj hai is mein wo shiddat phir kahan hogi abhi ek dusre ko dekh len donon nazar bhar ke bichhadne ka hai waqt aaya ye qurbat phir kahan hogi milenge phir ye kahte ho kabhi wapas jo aae to kahan aise miloge tum ye surat phir kahan hogi juda ho kar bhi tujh se zindagi ai dost guzregi bahar-surat magar ye khubsurat phir kahan hogi shikayat thi tumhein hum se hamein bhi tum se shikwa tha karenge kis se phir shikwa shikayat phir kahan hogi chalen 'masud' haal-e-dil ab un se apna kah den hum milegi phir kise fursat ye jurat phir kahan hogi