khud ko khud par hi jo ifsha kabhi karna pad jae jaise jine ki bahut chah mein marna pad jae aisa ek waqt jab aata hai to kya karte ho dil jo karna nahin chahe wahi karna pad jae ho to mahtab ke ham-raqs magar aisa na ho daman-e-chashm sitaron hi se bharna pad jae jis ko dekha na kabhi jis ki tamanna bhi na ki panw usi shahr ke raste pe jo dharna pad jae surat-e-ashk-e-nadamat hi sahi ai 'shahpar' meri aankhon se kabhi us ko guzarna pad jae