jo hamare safar ka qissa hai wo teri rahguzar ka qissa hai subh tak khatm ho hi jaega zindagi raat bhar ka qissa hai dil ki baaten zaban pe kyun lao ghar mein rahne do ghar ka qissa hai koi talwar kya bataegi dosh ka aur sar ka qissa hai hosh aa jae to sunaunga chashm-e-diwana-gar ka qissa hai chalte rahna to koi baat na thi sirf samt-e-safar ka qissa hai jite-ji khatm ho nahin sakta zindagi umr bhar ka qissa hai sham ko hum sunaenge tum ko shab-e-gham ki sahar ka qissa hai tere naqsh-e-qadam ki baat nahin sirf shams o qamar ka qissa hai daman-e-khushk lao phir sunna ye meri chashm-e-tar ka qissa hai chand tinke na the nasheman ke bagh-o-shakh-o-shajar ka qissa hai halq mein chubh rahe hain kante se lab pe gul-ha-e-tar ka qissa hai meri barbaadiyon ka haal na puchh ek nichi nazar ka qissa hai usi bedad-gar se kah de 'saba' usi bedad-gar ka qissa hai