kisi ke aks ko hairan karna chahta hun main sang-o-aina yak-jaan karna chahta hun buland karta hun dast-e-dua ki jaise main kisi ki zat par ehsan karna chahta hun bahut haqir hai lekin tujhe ata kar ke main dil ko takht-e-sulaiman karna chahta hun mujhe ye zindagi dushwar bhi qubul magar kahin kahin ise aasan karna chahta hun main aisi kaun si shai kho chuka hun jis ke ewaz sabhi ko be-sar-o-saman karna chahta hun