kya khak kahun matlab-e-dildar ke aage so aur sunaega wo aghyar ke aage bola tha jo aaghaz-e-mohabbat mein bada bol aaya wahi aakhir dil-e-bimar ke aage roka hi kiya zabt-e-mohabbat sar-e-mahfil sar jhuk hi gaya us but-e-ayyar ke aage paida nahin duniya mein dawa-e-maraz-e-ishq kya log na hote the is aazar ke aage fariyaadi-e-be-dad-e-jafa jaan ke mujh ko mahshar mein wo chalte hue lalkar ke aage marta hai kasi aur pe ab ghair suna hai bolunga kabhi jhut na sarkar ke aage aa jae 'nasim' us ko tarahhum to ajab kya chal le to chalen tujh ko tere yar ke aage