jo ho saka nahin darpesh use banata hua main khud bhi bit gaya raste banata hua sanwar raha tha koi aaina-nashin jab main figar-dast hua aaine banata hua bana raha hun tujhe main ki ho meri takmil sanwarta jata hun main khud tujhe banata hua wo ek shakl jo hai us ka markazi kirdar ujad gaya hai ye manzar use banata hua