jo ho sake to mere dil ab ek wo qissa bhi zara suna ki hai kuchh zikr jis mein tera bhi kabhi safar hi safar mein jo umr-e-rafta ki samt palat ke dekha to udti thi gard-e-farda bhi bade saliqe se duniya ne mere dil ko diye wo ghao jin mein tha sachchaiyon ka charka bhi kisi ki ruh se tha rabt aur apne hisse mein thi wo be-kali jo hai mauj-e-zaman ka hissa bhi ye aankhen hansti wafaen ye palken jhukte khulus kuchh is se badh ke kisi ne kisi ko samjha bhi ye rasm hasil-e-duniya hai ek ye rasm-e-suluk hazar is mein sahi nafraton ka ima bhi dilon ki aanch se tha barf ki silon pe kabhi siyah sanson mein luthda hua pasina bhi mujhe dhaki-chhupi in bujhi uljhanon se mila jachi-tuli hui ek sans ka bharosa bhi kabhi kabhi inhi alhad hawaon mein 'amjad' suna hai dur ke ek des ka sandesa bhi