kaise ajib dukh the dil mein chhupa ke lae gard-e-safar thi rah mein bas hum utha ke lae har rah-guzar pe us ko rakhna tha yaad so hum anjaan raston mein khud ko bhula ke aae jiwan ki dhup mein yun tanha safar tha apna sukh sab ko bant dale bas dukh utha ke lae apne the ya parae lahjon mein bas chubhan thi muskan apne lab par phir bhi saja ke lae padhta nahin hai koi phir bhi likha hai hum ne sunta nahin hai koi lekin suna ke aae is waste to shah hain meri ruh jal rahi hai jiwan ki aag mein hum khud ko jala ke aae