mohabbat khar-e-daman ban ke ruswa ho gai aakhir ye aqlim-e-azizan be-zulekha ho gai aakhir bisat-e-arzu taswir-e-sahra ho gai aakhir wo hangamon ki basti ho ki duniya ho gai aakhir nishan-e-subh yun gum hai ki ab nikle na jab nikle udhar andaz-e-shab aisa ki goya ho gai aakhir meri aankhon ka bas ek khwab thi wo hasrat-e-pinhan jo khud un ki nigahon ka taqaza ho gai aakhir qalam ko hai usi surat-kade ki justuju yani kahin pinhan thi wo surat jo paida ho gai aakhir faqat iman hi kya pamal hain iman-shikan lakhon dilon ki wo mata-e-kafiri kya ho gai aakhir numud-e-subh-e-wada se to khair ummid hi kya thi wo furqat ki shab-e-hangama-ara ho gai aakhir kabhi ye larzishen saz-ashna hongi to dekhoge dilon ki be-kali aashob-e-dariya ho gai aakhir hum apne chaak-e-daman par bahut ruswa rahe 'haqqi' nazar aain-e-mahfil se shanasa ho gai aakhir