kuchh baat hi thi aisi ki thame jigar gae hum aur jate bazm-e-adu mein magar gae ye to khabar nahin ki kahan aur kidhar gae lekin yahan se dur kuchh ahl-e-safar gae arman jo hum ne jama kiye the shabab mein piri mein wo khuda ko khabar hai kidhar gae rutba buland hai mere daghon ka is qadar main hun zamin pe dagh mere ta-qamar gae rukhsar par hai rang-e-haya ka farogh aaj bose ka nam main ne liya wo nikhar gae duniya bas is se aur zyaada nahin hai kuchh kuchh roz hain guzarne aur kuchh guzar gae jaane laga hai dil ki taraf un ka hath ab nale shab-e-firaq ke kuchh kaam kar gae hasrat ka ye maza hai ki nikle nahin kabhi arman nahin hain wo ki shab aae sahar gae bas ek zat hazrat-e-'shaida' ki hai yahan dehli se rafta rafta sab ahl-e-hunar gae