jo honTon pe mohr-e-KHamoshi laga di

jo honton pe mohr-e-khamoshi laga di
to mil kar nigahon ne tali baja di

kisi ke liye main pareshan nahin hun
raqibon ne jaane kahan ki uda di

junun apni taqdir se khelta hai
mitai bana di banai mita di

abhi nur o zulmat mein chalti rahegi
na wo is ke aadi na main us ka aadi

khabar karwan ki na ho rahzanon ko
yahi soch kar main ne mishal bujha di

gulon ne jab ilzam rakkha khizan par
to wo khar ko dekh kar muskura di

tawaqqoa nahin thi 'muzaffar' se un ko
khari baat sun kar qayamat utha di


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close