jo hui so hui jaane do milo bismillah jam-e-mai hath se lo mere piyo bismillah muntazir aap ke aane ka kai din se hun kya hai takhir qadam-ranja karo bismillah le chuke dil to phir ab kya hai sabab ranjish ka ji bhi hazir hai jo lete ho to lo bismillah main to hun kushta-e-abru-e-but-e-mushaf-e-ru mu-qalam se mere turbat pe likho bismillah zabah karna hi mujhe tum ko hai manzur agar main bhi hazir hun meri jaan utho bismillah hote aazurda ho aane se hamare jo tum khush raho mat ho khafa hum chale lo bismillah ain rahat hai mujhe banda-nawaza is mein qadam aankhon pe meri aa ke rakho bismillah jin ki rahte ho shab-o-roz tum ab sohbat mein jao ai jaan ab un ke hi raho bismillah mast nikla hai mai-e-husn mein 'bedar' wo shokh dekhna gar na pade kahte chalo bismillah