jo kuchh ki tha wazaif-o-aurad rah gaya tera hi ek nam faqat yaad rah gaya zalim teri nigah ne kiye ghar ke ghar kharab hoga koi makan ki wo aabaad rah gaya jate hain ham-safir chaman ko par ek main yan kushta-e-taghaful-e-sayyaad rah gaya jun hi do-chaar aa ke hua wo nazar-fareb le kar qalam ko hath mein bahzad rah gaya is sarw-e-gul-azar ki tarz-e-khiram dekh khajlat se gad zamin mein shamshad rah gaya kis kis ka dil na shad kiya tu ne ai falak ek main hi gham-zada hun ki nashad rah gaya 'bedar' rah-e-ishq kisi se na tai hui sahra mein qais koh mein farhad rah gaya