jo hum aae to botal kyun alag pir-e-mughan rakh di purani dosti bhi taq par ai mehrban rakh di qafas mein shakh-e-gul sayyaad ne ai aasman rakh di bana kar shakh-e-gul han teri shakh-e-kahkashan rakh di ye kaisi aag bhar kar jam mein pir-e-mughan rakh di jo todi mehr-e-saghar se to kuchh utha dhuan rakh di zara chheda jo us ne ho gai aisi za-khud-rafta ki sham-e-bazm ne gul-gir ke lab par zaban rakh di khuda ke hath hai bikna na bikna mai ka ai saqi barabar masjid-e-jame ke hum ne ab dukan rakh di chaman ka lutf aata hai mujhe sayyaad ke sadqe qafas mein la ke us ne aaj shakh-e-ashiyan rakh di bina hai ek hi donon ki kaba ho ki but-khana utha kar khisht-e-khum main ne wahan rakh di yahan rakh di ye qais-o-kohkan ke se fasane ban gae kitne kisi ne tukde tukde sab hamari dastan rakh di tayyun se munazzah shokhiyan hain us ke jalwe ki hamari wusat-e-dil mein bana-e-la-makan rakh di nazar muddat se thi ai shaikh jis par mai-faroshon ki wo dastar-e-fazilat rahin hum ne mehrban rakh di ye kya tha jalwa un ka dekhna tha hum ko parde mein laga kar aankh se hum ne jo taswir-e-butan rakh di ye aalam hai 'riyaz' ek ek qatre ko tarasta hun haram mein ab bhari botal khuda jaane kahan rakh di