phir wahi raat phir wahi aawaz mere dil ki thaki hui aawaz kahin bagh-e-nakhust se aai kisi koyal ki dukh-bhari aawaz abhi chhaya nahin hai sannata aa rahi hai koi koi aawaz phadphadahat kisi parinde ki kisi konpal ki phutti aawaz abhi mahfuz hai tera chehra abhi bhuli nahin teri aawaz mere bistar pe aa ke let gai raushni ki lakir si aawaz munh andhere jaga ke chhod gai ek subh-e-jamal ki aawaz din se fursat kabhi mile to suno sham ka saz raat ki aawaz gunjta hai abhi tarana-e-shauq wahi aahang hai wahi aawaz tedhe-medhe mude-tude mukhde tuti-phuti kati-phati aawaz bade dukh jhil kar kamai hai jo bhi hai ye buri-bhali aawaz