khalish-e-zakhm-e-tamanna ka mudawa bhi na tha main ne wo chaha jo taqdir mein likkha bhi na tha itna yaad aaega ek roz ye socha bhi na tha hae wo shakhs ki jis se koi rishta bhi na tha kyon use dekh ke badhti thi meri tishna-labi abr-para bhi na tha wo koi dariya bhi na tha dil wo sahra ki jahan udti thi haalat ki gard gham wo baadal jo kabhi khul ke barasta bhi na tha tu ne kyon jagte rahne ki saza di mujh ko tere bare mein koi khwab to dekha bhi na tha ho gae log ye kyon mere lahu ke pyase main ne to aankh utha kar use dekha bhi na tha kuchh jhijakti hui nazren bhi thin mahw-e-gul-gasht main chaman-zar-e-tasawwur mein akela bhi na tha baz raaton mein ye manzar bhi nazar se guzra shama bhi jalti rahi ghar mein ujala bhi na tha kabhi ban jaegi yun yaad teri juzw-e-hayat main ne is rukh se tere bab mein socha bhi na tha aasman aur zamin hadd-e-nazar tak the muhit hum kahan jate nikal kar koi rasta bhi na tha kuchh umiden thin umangen thin tamannaen thin dil teri rah mein nikla to akela bhi na tha umr bhar karte rahe ghar ki tamanna 'tahir' aur taqdir mein diwar ka saya bhi na tha