ruh aur badan donon dagh dagh hain yaro phir bhi apne baam-o-dar be-charagh hain yaro aao hum mein dhal jao umr bhar ke pyase hain tum sharab ho yaro hum ayagh hain yaro jin pe barish-e-gul hai un ka haal kya hoga zakhm khane wale bhi bagh bagh hain yaro jin ko rah ke kanton mein khush-mizaj hona tha wo maqam-e-gul pa kar be-dimagh hain yaro hum se mil ke fitrat ke pech-o-kham ko samjhoge hum jahan-e-fitrat ka ek suragh hain yaro na-shanason ki tahsin rang lai hai kya kya koile bhi ab lal-e-shab-charagh hain yaro hum hasin ghazlon se pet bhar nahin sakte daulat-e-sukhan le kar be-faragh hain yaro