mere dil ke ye dagh sare hain aasman par jo chand tare hain kya nirale hain khel ulfat ke jitne wale khel haare hain wahi samjhenge kuchh musibat ko jis ne ro ro ke din guzare hain jin ko ghairon ke sath dekha hai kaise kah den ki wo hamare hain har tarah jo watan ke kaam aaen wo watan mein hi be-sahaare hain kal jahan shakٓh-e-ashiyana thi aaj kuchh rakh kuchh sharare hain aasman jagmagata tha jin se meri aahon ke wo sharare hain hu ka aalam hai chaar samt 'riyaz' gardish-e-waqt ke nazare hain