jo iKHtilaf nahin hai to etiraf to ho

jo ikhtilaf nahin hai to e'tiraf to ho
hai ikhtilaf to kuchh wajh-e-ikhtilaf to ho

dilon mein kya hai kuchh is ka ata-pata to chale
ki baat jaisi ho jo bhi ho saf saf to ho

kuchh us se rabt-o-talluq ka silsila to lage
nahin hai wo jo muafiq na ho khilaf to ho

nahin burai mitane ki gar hamein taufiq
kam-az-kam us se tanaffur to inhiraf to ho

nahin saadat-e-sajda agar muqaddar mein
khulus se dar-e-mabud ka tawaf to ho

wo ahl-e-naqd-o-basirat hain khair honge bhi
durust pahle magar un ka shin-qaf to ho

na hon jo sher haqaeq ke tarjuman 'rahi'
haqiqaton ka magar un se inkishaf to ho


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close