kab se baitha hun iltija ke liye sun lo do baaten ab khuda ke liye faiz-e-mashuq aashiqon ko kya nikhat-e-zulf hai saba ke liye na-tawani mein na-tawani hai hath uthte nahin dua ke liye khair hai kuchh to is mein jo chup hun munh na khulwaiye khuda ke liye kya dil-e-na-subur le jaun nigah-e-sabr-azma ke liye dar-e-jaanan ki khak hai iksir dil-e-bimar ki shifa ke liye sog mein dil ke dide phut rahe aashna roe aashna ke liye bhes badle hue raqib ka aaj main chala arz-e-muddaa ke liye is taghaful ki intiha hi nahin koi had chahiye saza ke liye wo bahut munfail hain dekho 'khayal' chhodun shikwon ko ab khuda ke liye