subh-e-safar ka raaz kisi par yahan na khol tufan hai paniyon mein abhi baadban na khol pasmandgan pe chhod ki dhunden nuqush-e-pa jo sang-o-khisht hain tah-e-ab-e-rawan na khol main ne sarab-e-fahm ke sab raaz pa liye ab lakh mujh pe uqda-e-haft-asman na khol sab kuchh yahan hai chashm-e-kharidar ki pasand uzr-e-mata-e-dard agar hai dukan na khol shakh-e-shajar pe shoala-e-khurshid bujh to le kuchh der tirgi pe dar-e-khak-dan na khol har bazm kyun numaish-e-zakhm-e-hunar bane har bhed apne doston ke darmiyan na khol 'shahid' hisar-e-jail pe teshe se war kar in pattharon ke ru-ba-ru apni zaban na khol