makin hun aur hudud-e-makan nahin malum sunane baith gaya dastan nahin malum dil-e-hazin ko karam ki umid karne de abhi use teri majburiyan nahin malum guzar rahi hai bas ek soz-o-karb paiham mein kahan jala tha mera aashiyan nahin malum sukun se muntazir-e-imtiyaz hai ab tak meri jabin ko tera aastan nahin malum kisi ko un ka pata kya bataen ai 'ali' hamein to aap hi apna nishan nahin malum