wo ek chatan jo pani hui saliqe se nadi kuchh aur siyani hui saliqe se nigah ki dhaar mein khanjar ka zaiqa utra dilon ki baat zabani hui saliqe se ise bhi kha gai tahzib dimakon ki tarah nai kitab purani hui saliqe se wo ek raat jo pahlu mein mutmain thi bahut qayamaton ki nishani hui saliqe se uthe jo shahr se sahra pe wo baras bhi gae ghamon ki naql-e-makani hui saliqe se mere lahu se hain gul-rang hasraten us ki saza ki sham suhani hui saliqe se kisi ka qurb kabutar ke pankh jaisa tha badan ki aag bhi pani hui saliqe se