khuda-numa hai but-e-sang-e-astana-e-ishq chalunga pa-e-nigah ban ke su-e-khana-e-ishq na kam hon sikka-e-dagh-e-dil-e-yagana-e-ishq bhara pada rahe yarab sada khazana-e-ishq jabin-e-qais bani sang-e-astana-e-ishq junun hai khema-e-laila siyah-khana-e-ishq mudam dil mein rahe dagh-e-ulfat-e-saqi na be-charagh ho yarab sharab-khana-e-ishq ye mahfil-e-tarab-e-husn hai nahin maqtal sada gulu-e-burida ki hai tarana-e-ishq ye kah ke phirti hai din raat aasiya-e-falak mile to khirman-e-mah de ke lun main dana-e-ishq hai aaftab piyala farishta-khu saqi kham-e-falak hai subu-e-sharab-khana-e-ishq bas ek hath mein do ho ke main zamin pe gira qaza jo aai ada ho gaya dogana-e-ishq har ek gam pe dil pista hai ablaq-e-chashm magar hai surme ka dumbaala taziyana-e-ishq jalaya tur ko ek dam mein saiqa ban kar sharar-fishan jo hua sang-e-astana-e-ishq ho khana-e-sadaf-e-dil na kis tarah pur-nur ki aap hai guhar-e-shab-charagh dana-e-ishq buto khuda ne kaha fis-sama-e-rizqokum aap mila hai mujh ko ye haft aasiya se dana-e-ishq ye sach masal hai buto sab ka hai khuda razzaq nasib-e-tair-e-dil hai azal se dana-e-ishq jo khal ban ke khat-e-rukh mein dil rahe mera kahun main khirman-e-mah mein mila ye dana-e-ishq kisi ke abru-e-pur-kham ka dhyan rahta hai hamara kaba-e-dil hai siyah-khana-e-ishq sada-e-matam-e-dil sun ke khush wo hote hain nawa-e-sina-zani hai ki shadiyana-e-ishq jo shauq-e-did hai musa ki tarah ek na sun ki lantarani-e-ishq hai tarana-e-ishq naqab udhar wo uthaen idhar main aah karun samand-e-husn pe pad jae taziyana-e-ishq jo toliye ise kaunain ki taraazu mein garan ho wazn mein na aasiya se dana-e-ishq farogh-e-bazm-e-tasawwur hai yaad pistan ki habab-e-husn bane hain charagh-e-khana-e-ishq khayal-e-gauhar-e-dandan mein hum jo rote hain sarishk-e-dida-e-tar hai dur-e-yagana-e-ishq hai mere dil ki tarah is se ye pareshan-haal mila hai zulf ko husn-e-siyah-khana-e-ishq chadha jo dar pe aashiq ka sar hua sardar juda hai khana-e-alam se karkhana-e-ishq khuda ka ghar ho jo tute jihad-e-nafs se dil kharab ho to bane la-makan ye khana-e-ishq wo dil laga ke sunen dastan ki surat bayan kijiye us husn se fasana-e-ishq 'wazir' tukhm-e-mohabbat ko dil mein bo apne zamin wo shor hai jis mein uge na dana-e-ishq