jo nazar se bayan hoti hai kya hasin dastan hoti hai pattharon ko na thokaren maro pattharon mein bhi jaan hoti hai jis ko chhu do tum apne qadmon se wo zamin aasman hoti hai be-piye bhi surur hota hai jab mohabbat jawan hoti hai zindagi to usi ki hai jis par wo nazar mehrban hoti hai jitne unche khayal hote hain utni unchi udan hoti hai aarzu ki zaban nahin hoti aarzu be-zaban hoti hai jis mein shamil ho talkhi-e-gham bhi kitni mithi wo tan hoti hai in ki nazron ka ho fusun jis mein wo ghazal ki zaban hoti hai khar ki zindagi-e-be-raunaq phul ki pasban hoti hai kaun deta hai ruh ko aawaz jab haram mein azan hoti hai ishq ki zindagi 'hafiz' na puchh har ghadi imtihan hoti hai