main mutmain na hua tujh ko gham suna ke bhi andhera aur badha hai diya jala ke bhi qubul karte hue dil tadapne lagta hai ajib hote hain kuchh faisle khuda ke bhi wo aasman meri dastaras mein kya aata hazar koshishen kin ediyan utha ke bhi tujhe gale se lagaen to jaan nikalti hai asir-e-jism hain lekin teri haya ke bhi magar ye kya ki parinde shajar se gir jaen agarche hote hain kuchh faede hawa ke bhi qafas ka qimti panchhi hun so kharidte waqt mujhe uda ke bhi dekha gaya gira ke bhi nahin hai dasht faqat pyas ka hawala 'adil' main ro pada hun samundar ko aazma ke bhi