kaun kahta hai ki ye shokhi-e-bedad nahin tum ne milne ko kaha bhi tha kahin yaad nahin hae us roz ka har waqia tum bhul gae hae kya mera tadapna bhi tumhein yaad nahin main khatawar agar ahd-shikan phir se kahun tum usi naz se kah do ki hamein yaad nahin uf ye izhaar-e-taghaful ki ada-e-dil-kash phir zara kahiye ki han kah to diya yaad nahin ye tarahdari-e-izhaar-e-taghaful un hun hans ke munh pher ke sharma ke kaho yaad nahin itna to yaad hai ek wada kiya tha lekin hum ne kya wada kiya tha hamein ye yaad nahin zikr-e-'bismil' pe wo farmane lage jhunjhla kar hoga koi chalo jaane do hamein yaad nahin