jo kuchh apne dil par guzri kuchh na kaho to behtar hai

jo kuchh apne dil par guzri kuchh na kaho to behtar hai
hans hans kar hi 'arif' us ki baat suno to behtar hai

sun lo dil ke saude mein ab jhut bhi kaam na aaega
ubad-khabad raste par ab sath chalo to behtar hai

mausam badla bijli chamki manzar sara bhig gaya
apne apne ghar chalne ki baat karo to behtar hai

shish-mahal ka dhoka dena ab itna aasan nahin
tuti-phuti kutiya mein khamosh raho to behtar hai

aakhir kab tak dur rahoge us ki mithi baaton se
tute rishte phir se jodo aisa ho to behtar hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close