jo tu ho pas to dekhun bahaar aankhon se wagarna karte hain gul kar-e-khar aankhon se kahan hai tu ki mein khinchun hun rah mein teri bisan-e-naqsh-e-qadam intizar aankhon se zi-bas ki aatish-e-gham shola-zan hai sine mein girin hain ashk ki jagah sharar aankhon se main yaad kar dur-e-dandan-e-yar rota hun tapakte hain guhar-e-ab-dar aankhon se tuk aa ke dekh tu ai sarw-qad mera ahwal rawan hai gham mein tere juebar aankhon se chadhaun dasta-e-nargis mazar-e-majnun par jo dekhun aaj main ru-e-nigar aankhon se chaman mein kal koi tujh sa pari nazar na pada agarche dekhe hain ja kar hazar aankhon se hua hai dida-e-'bedar' gul-fishan jab se gira hai tab se ye abr-e-bahaar aankhon se