jo le ke un ki tamanna ke khwab niklega ba-ijz-o-shauq ba-haal-e-kharab niklega jo rang bant ke jata hai tinke tinke ko adu zamin ka yahi aaftab niklega bhari hui hai kai din se dhund galiyon mein na jaane shahr se kab ye azab niklega jo de rahe ho zamin ko wahi zamin degi babul boe to kaise gulab niklega abhi to subh hui hai shab-e-tamanna ki bahenge ashk to aankhon se khwab niklega mere gunah bahut hain magar taqabul mein usi ka lutf-o-karam be-hisab niklega mila kisi ko na 'danish' kuchh aarzu ke khilaf pas-e-fana bhi yahi intikhab niklega