kya dekhte ho rah mein ruk kar yahan wahan hai qatl-o-khun ka ek sa manzar yahan wahan zer-e-nagin usi ke sabhi qarya-o-dayar us ke hi sab hain khema-o-lashkar yahan wahan hai darmiyan-e-khanjar-o-sar fasle ka farq warna saron pe hai wahi khanjar yahan wahan shishe ke sab makan hain shikasta idhar udhar bikhre pade hain shahr mein patthar yahan wahan mahfuz rah gaya na koi rasta na mod jaya karo na ghar se nikal kar yahan wahan lagta hai ab ulatne ko hai ye bisat-e-shab sargoshiyan yahi hain barabar yahan wahan 'mohsin' ajib habs ka aalam hai aur main koi daricha hai na koi dar yahan wahan