raha karte hain yun ushshaq teri yaad o hasrat mein base rahte hain jaise phul apni apni nikhat mein khicha husn-e-wafa ho kar jo ye taswir-e-wahdat mein khuda ka nur shamil ho gaya insan ki surat mein nahin hai lazzat-e-duniya o ma-fiha jo qismat mein khuda-malum hissa hai mera kis khwan-e-neamat mein safai-rukh badhi aisi hua aaina hairat mein jawani mein nazar aane laga munh us ki surat mein phalun phulunga main duniya se ja kar bagh-e-jannat mein azal se parwarish hota hun main gulzar-e-rahmat mein mahall-e-ishq mein jo khun mushtaqon ka bahta hai hua karti hain rang-ameziyan us ki imarat mein karo aisi adaen hum se hum taswir ho jaen rahen hum aur tum ek jaan do qalib ho ke khalwat mein mili hai meri qismat se mujhe neamat tawakkul ki jo marghub-e-khuda hain wo maze hain us ki lazzat mein khudai wajd karti hai jahan main chahchahata hun hazaron mein hun ek bulbul tere gulzar-e-qudrat mein namaz-e-panjgana mein bhi har ja zikr usi ka hai tashahhud mein azan mein sajde mein niyyat mein rakat mein machal jaane par us na-faham ke rahm us ko aaya hai liya hai mere tifl-e-ashk ko daman-e-rahmat mein dil-azari ka ham-surat se apne mashwara lenge ilahi khair aaina talab hota hai khalwat mein mare par bhi 'sharaf' ki donon aankhen dabdabaati hain khuda jaane ki dam nikla hai un ka kis ki hasrat mein