jo log bhi haalat se ghabrae hue hain

jo log bhi haalat se ghabrae hue hain
chaukhat pe tumhaari wo sabhi aae hue hain

jin ko bhi mili khak-e-dar-e-yar zara si
be-nur jabinon ko wo chamkae hue hain

daman ko jhulasne se bachane ki gharaz kya
shoale ye tumhaare hi to bhadkae hue hain

chaho to agar bant lo hum se gham-e-hijran
hum bhi to kisi shakhs ke thukrae hue hain

rakkhe hain wo zindan ko aabaad khushi se
zanjir ghulami ki jo khankae hue hain

chate hain tere hijr ke lamhat badan ko
ye wasl ke imkan mujhe khae hue hain

mahfil mein ghumate hue ungli se wo kakul
kya jaaniye kis kis pe sitam dhae hue hain

ab kaise bataun teri zulfon se ziyaada
duniya ke masail mujhe uljhae hue hain

apnon se hi karni hai hamein apni hifazat
allah ye kis daur mein hum aae hue hain

padti hi nahin hain kabhi khushiyon ki shuaen
har samt mere abr-e-sitam chhae hue hain

'afzal' nahin rahta koi duniya mein hamesha
phir aap ye kis baat pe itrae hue hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close