us ko qubul meri judai na ho saki tanhai meri mujh se parai na ho saki bachpan se us ko shauq tha mehndi ka dosto lekin hatheli us ki hinai na ho saki jitne pe mang leta main us ka jahan se hath utni kabhi bhi meri kamai na ho saki guzri tamam umr usulon ki qaid mein meri kabhi bhi un se rihai na ho saki khushiyan jo ruthin hum se to mani nahin kabhi lekin ghamon se aisi jafai na ho saki kyon nakhuda ko dubne wala nahin dikha kyon pur-asar kisi ki duhai na ho saki waqif hun tere dar ki siyasat se is liye mujh se tumhaare dar ki gadai na ho saki sab ki lagai hum ne bujhai tamam umr hum se kabhi lagai-bujhai na ho saki sahra se aa ke shahr-e-sukhan mein thahar gae sahra mein hum se aabla-pai na ho saki tujh se kisi ka sath nibhaya nahin gaya tujh se kabhi kisi ki bhalai na ho saki jaane kahan se sikh li us ne jafaen aur hum ne wafa jo us ko sikhai na ho saki wo uth gaya jo bazm-e-sukhan se so us ke baad ahl-e-sukhan se sher-sarai na ho saki