tere qalam se jo likkha hai wo hisab na de mujhe shuur ata kar mujhe kitab na de main is sadi mein to khamosh rah nahin sakta abhi sawal sune ja abhi jawab na de agar qubul kare to yahi dua hai meri mera khuda mujhe jannat mein bhi sharab na de rahe ye farq moazzin mein aur munafiq mein jise azan na mile us ko aaftab na de bade darakhton ki barakat se khub waqif hun meri zamin mere bachchon ko ye azab na de tamam umr ye aankhen sulagti rahti hain mujhe to nind ata kar mujhe to khwab na de tere hi ghar ke buzurgon mein jang jari hai main kah raha tha ki yun dars-e-inqalab na de