KHauf ek dil mein samaya laraz uTTha kaghaz

khauf ek dil mein samaya laraz uttha kaghaz
kanpte hathon se zalim ne jo moda kaghaz

na to nila na to pila na to ujla kaghaz
chahiye un ke talawwun ko tiranga kaghaz

safha-e-dil pe nazar aate hain ab dagh hi dagh
god dala kisi kambakht ne sara kaghaz

baghban ke sitam-o-jaur jo likhte baithe
lag gaya ram ka ram aur dasta ka dasta kaghaz

jab bhi wo baithte hain likhne ko iqrar-e-wafa
ganw bhar mein kahin milta nahin purza kaghaz

un ke hathon mein qalam-dan-e-hidayat ab hai
jo nahin jaante sidha hai ki ulta kaghaz

kya kahe un ke takhayyul ki diyanat koi
jaise dekha hai kabhi bans ka mota kaghaz

zulm dha kar bhi abhi tak hai koi be-taqsir
roz likhne pe bhi hai sade ka sada kaghaz

dastan gesu-e-pechan ki jo likhne baithe
fountain-pen mein hamare bahut uljha kaghaz

dam-e-tahrir na zahir ho kahin dil ka ghubar
dekhiye hone na pae kahin maila kaghaz

bhejna hai mujhe ek mah-jabin ka khat-e-shauq
'shauq'-sahab kahin milta nahin badhiya kaghaz


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close