mohabbat ka ye jazba marne ka na hai wo ab mere dil se utarne ka na hai kahan us farebi ki baaton mein aae wo jo kah raha hai wo karne ka na hai tihattar girohon mein jab bant gae hum to shiraaza apna bikharne ka na hai abhi to shuruat hai aashiqi ki abhi bhut sar se utarne ka na hai teri mithi baaton mein chipke to hai dil ye kya shart hai tu mukarne ka na hai judai ke sadme hain bas chaar din ke kisi ke liye koi marne ka na hai agar bhul sakta bhula deta ab tak teri yaad ka zakhm bharne ka na hai tu jab itni unchi udanen bharega to hasid tere par katarne ka na hai bala ka wo hushiyar samjhe hai khud ko magar mere aage thaharne ka na hai wo hai bewafa to koi us se kah de 'faraaz' us ke sadme mein marne ka na hai