jo mere ham-asr ham-sohbat the so sab mar gae apni apni umar ka paimana har yak bhar gae puchhte kya ho gunahon ke giraftaron ka haal khushk zahid the so is jagah se daman tar gae hath se sayyaad ke sabit na chhuta ek said baal-o-par rakhte the so be-baal aur be-par gae ye qimar-e-ishq hai ai bul-hawas bazi na jaan sar gae bahuton ke aur bahuton ke is mein ghar gae hum ne hasti aur adam ki aa ke ki hai khub sair rasm o aain dekh in logon ka az bas dar gae ek jo aaya use le god mein di ghar mein ja dusre ko kadh kar ghar se zamin mein dhar gae tum kaho apni miyan 'hatim' ki ho kis fikr ki aur jo aae jane jaisi bani so kar gae