meri nazar se na ho dur ek pal ke liye tera wajud hai lazim meri ghazal ke liye kahan se dhundh ke laun charagh sa wo badan taras gai hain nigahen kanwal kanwal ke liye kisi kisi ke nasibon mein ishq likkha hai har ek dimagh bhala kab hai is khalal ke liye hui na jurat-e-guftar to sabab ye tha mile na lafz tere husn-e-be-badal ke liye sada jiye ye mera shahr-e-be-misal jahan hazar jhonpade girte hain ek mahal ke liye 'qatil' zakhm sahun aur muskuraata rahun bane hain daere kya kya mere amal ke liye